BP-Sugar ka khel, dil ka dard — kya aasan exercise ghar pe karein?

Namaste doston. Aaj subah thoda sa bazaar gaya tha, bas paas ki dukaan tak, lekin wapas aate aate saans phool gayi. Biwi ne kaha "itna kaam kyun kar rahe ho, aaram karo". Par main kya karun, ghar mein reh reh ke bore ho jaata hoon. Pichhle hafte doctor ne kaha tha ki BP aur sugar control mein rakho, lekin ye dil ka dard kabhi kabhi achanak aata hai. Ek chhota sa sawaal hai aap sab se - kya koi aisi aasan exercise hai jo ghar baithe kar sakte hoon? Pota kehta hai "dada ji aap yoga karo", par mujhe lagta hai ki zyada jhukna ya utna karna meri umar mein theek nahi. Kripya koi sahi raah bataye. Aur haan, subah uthke ek glass halka garam paani mein shahad aur nimbu le raha hoon, kya ye heart ke liye theek hai ya nahi? Aap sab ke anubhav ka intzaar rahega. Dhanyavaad.

⚠️ Medical Disclaimer: This information is for educational purposes only. Always consult a qualified healthcare provider before making any health-related decisions.

Community Discussion

No comments yet. Be the first to share your thoughts!