**41 saal, job gayi, bivi supportive, par beta school fee maang raha hai – kya karoon? 😢**
Bhai log, aaj kuch zyada hi heavy feel ho raha hai. 41 saal ka hoon, do bachche hain, aur abhi 3 mahine pehle job gayi. Bivi bahut supportive hai, par mard hoon na, ego pe lagta hai. Kal mere bete ne school fee maangi, maine jhooth bol diya ki kal de dunga. Raat ko neend nahi aayi, bas sochta raha ki kya jawab doonga kal.
Ek to unemployment ka stress, upar se depression ne aise gher liya hai ki kuch achha lagta nahi. Khaana bhi nahi khaata theek se, weight gir gaya hai. Kuch din pehle ek dost ne therapy ka suggestion diya, par pata nahi kaam karega bhi ya nahi. Aur suna hai ki antidepressants ke side effects hote hain, toh dar lagta hai.
Family mein tension hai, bivi rotti hai par mere samne nahi dikhati. Maa baap ko pata chal gaya hai, unki tension aur badh gayi. Kya karoon? Kya koi therapy ya counseling se sach mein improvement aata hai? Ya phir yeh time hi aisa hai ki bas guzar jayega? Kripya koi genuine advice de do, please.

Community Discussion
No comments yet. Be the first to share your thoughts!