**Office chair pe baithe pet kaise kam karein? Rishta wapas gaya, ab kya karein?**
Yaar ye bank job ne meri kya halat kar di hai. Subah 9 se shaam 6 tak ek jagah baitha raho, bas chai aur biscuit ka chakkar. Pet nikal aaya hai itna ki formal shirt ke buttons khul jaate hain. Aaj toh kya hua, family ne rishta laaya tha ladki wale dekhne. Mummy ne pehle hi kaha "beta thoda slim dikhna". Maine naya shirt pehna, pet andar kar ke baitha raha. Par jab utha toh pet wapas bahar aa gaya. Ladki wale ne seedha puch liya - "ye exercise karte ho?" Mera toh muh kaala ho gaya. Gym join karta hoon par 1 hafte mein chhod deta hoon, waha jaana boring lagta hai.
Koi simple desi upaay batao yaar. Ghar par baith ke kya kar sakta hoon? Main toh yoga bhi try kiya tha par usme bhi discipline chahiye. Aur khana toh office mein oily hi milta hai. Koi office-friendly diet hai? Ya koi aisa exercise jo chair pe baith ke ho sake? Please help karo, warna agle rishte mein bhi yahi haal hoga.
Community Discussion
No comments yet. Be the first to share your thoughts!